Monday, December 31, 2012

Goodbye 2012

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraagh-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andheron kii raah mein juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaaii dey
na shab kaTe na suraagh-e-sahar dikhaaii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaao.n kii zard maail naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke koii der mein ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n
base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujarne vaale hain
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Khemein ukharaney vaale hain 


-- Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment