Tuesday, December 25, 2012

December :(

Tumhari zulfe'n.
Tumhari palke'n.
Tumhari aankhe'n.
Tumhara chehra.
Tumharey shaanay.
Suraahi gardan.

Kalaayyon main khanaktay kangan.
Hinai haathon ki ungliyon ki haseen poore'n.
K jin main sandal mehek rai hai.
Ye narm saa'nsoo'n ki gungunahat.
Qadam uthao tu dhardkane'n.
Sath chordti hain.
Badan ka hr zaawiya qayamat.
Nahi tumhari misaal Jana'n.
Kamaal ho tum kamaal Jana'n.
Tumhara sb kuch haseen hai, laa-jawaab hai pr.
Mera nahi hai.
Tumhara kuch bhi mra nahi hai........!


Syed Wassi Shah - Mujhey Sandal ker do . ..
 

No comments:

Post a Comment