Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan
Jesay mehtaab ko be-ant samandar chaahay
Jesay sooraj ki kiran seep ke dil main utray
Jesay khushbu ko hava rang se hut ker chaahay
Jesay ghunchay khilay mausam se hina maangtay hain
Jesay khaabon main kheyaalon ki kamaa.n toot.ti hai
Jesay baarish ki dua aabla-pa maangtay hain
Mera her khaab meray such ki gavaahi de ga
Vus'at-e-deed ne tujh se teri khawahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh saraapa apna
Main ne duniya se alag teri parastish ki hai
Khawahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamano'n ki naqabain main nay
Teri palkon pe utarti hui subho'n kay liay
Torr dali hain sitaaro ki tanabain main nay
Main nay chaha k teray husn ki gulnar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jaye
Main nay chaha k meray dil kay gulista'n ki bahar
Teri ankhon k gulabo'n se mehekti jaye
Tay to yeh tha k sajata rahay lafzon k kanwal
Meray khamosh khayalon main takallum tera
Raqs karta rahay, phirta rahay khushbu ka khumar
Meri khwahish k jazeeron main tabassum tera
Tu magar ajnabi mahol ki parwar-deh kiran
Meri bujhti hui raaton ko sahar kar na saki
Teri sanso'n main masihaai thi laikin tu bhi
Chara e zakhm e gham e deeda e tar kar na saki
Tujh ko ehsas hi kab hay k kisi dard ka daagh
Aankh say dil main utar jaay to kia hota hay
Tu k seemab tabeat hay tujhay kia maloom
Mausam e hijr theher jaye to kia hota hay
Tu nay us morr pay torra hay taaluq k jahan
Dekh sakta nahi koi bhi palat kar janaa'n
Ab ye aalam hay k ankhain jo khulain gi apni
Yaad aay ga teri deed ka manzar janaa'n
Mujh se mangay ga teray ehd e mohabbat ka hisab
Teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaa'n
Yoon meray dil k barabar tera gham aya hay
Jaisay sheeshay k muqabal koi pathar janaa'n
Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan
MAIN NAY IS TOR SAY CHAHA TUJHAY AKSAR JANAA'N
-- Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment