Zindagi mein aik cheez hoti hai, jissey compromise kehtey hain...
Pur-sakoon zindagi guzarney k liye iss ki bohat zaroorat perti hai...
jis cheez ko tum badal na sako iss k sath compromise ker lia kero... mager apni kisi khwahish ko kabhi bhi janoon mat banaya ker.o..
Zindagi mein kuch cheezain aisi hain jo humain nahi mil saktin. chahey hum roye'en, chila'yen ya bachon ki tarah airiyan ragrein, kiyon k woh kisi dosrey k liye hotin hain... mager uss ka matlab yeh nahi hota k zindagi mein humarey liye kuch hota hi nahi.... kuch na kuch humarey liye bhi hota hai.
-- Umera Ahmed
Showing posts with label Umera Ahmed. Show all posts
Showing posts with label Umera Ahmed. Show all posts
Tuesday, October 6, 2009
Monday, April 6, 2009
Eman k sheeshay per kitnee hee gard aur mitti kyoon na ho, usey saaf kya ja sakta hey. Bus sirf aik hath phairnaa parta hey aur sheeshay mein say aks nazar aana shuroo ho jata hey aur phir her hath k sath aks pehlay sey zyada saaf aur chamakdaar hota jata hey.... aur wo hath us muhabbat ka hota hey jo iman sey hotee hey..
extract from: Eman, Umeed, Muhabbat (Umera Ahmed)
extract from: Eman, Umeed, Muhabbat (Umera Ahmed)
Thursday, January 29, 2009
Muhabbat tareek jungle ki tarha hotee hey, aik baar is k ander chaley jao, phir ye bahir aaney nahin deti.
extract from: iman, umeed, muhabbat.... (Umera Ahmed)
Bahir aa bhi jao to, aankhein jungle ki tareeki ki itnee aadi ho jatee hein k roshni mein kuch bhi nahin dekh saktein...
wo bhi nahin jo bilkul saaf, wazeh, aur roshan hota hey.
extract from: iman, umeed, muhabbat.... (Umera Ahmed)
Subscribe to:
Posts (Atom)