"Suffering occurs when we want other people to love us in the way that we imagine we want to be loved, and not in the way that love should manifest itself - free and untrammeled, guiding us with its force and driving us on."
Aao ke kahani ko koi anjaam detay hain wo jo hum main rishta-e-aashnai tha ab madoom hota ja raha hai tumhain bhi jaldi hai mujh se bicharnay ki mujhe bhi sath tumhara ab kuch acha nahi lagta tum bhi mujh se uktaye se lagtay hoo main bhi ab tum se bohat bezaar rehta hoon too yoon kertay hian ke ab hum apnay rastay badaltay hian tum nay bhi suna ho ga kanta budgumani ka dil main jo utar jaye zindgi se piyaray loog ajnabi se lagtay hain wo jo hum nay bandhay thay ehd dour-e-muhabat main unhain toor detay hain adhoora rehnay detay hain hath apnay hathoon se is tarah jhataktay hain sath choor detay hain.