Yun tu zindagi mein hazaroon loug aatay hain aur chale jaatay hain magar jeewan mein aik baar aisa koi zaroor milta hai jissay be-ikhteyaar apna kehne ko ji chaahata hai.. Dil us ki raah mein khushiyaan bikherne ko machal uth'ta hai aur us ke har gham ko apne ander samoo lene ko ji chaahata hai...
Rab'ul'Izzat us ke chehre ko itni khoobsurati se taraashta hai ke woh chehra hamare dil ki ghehraeyoo mein apni yaadain pewast kar ke phir aik dam hum se zindagi ke anjaane mour per hamesha hamesha ke leye juda hojaataa hai...
Phir na jaane kyon woh haseen chehra bhulaye nahee bhool paata, us ki yaadoon ki kirchiyaan dil mein paiwast hokar reh jaati hain... Agar un ko dil se nikaala jaaye tu takleef hoti hai... Aur agar waise hi rehne diya jaaye tu dukh bardasht se baahar hojaata hai...
Yeh sulaghti yaadain ashkoon ke siwa kuch nahee deti... Kaun hai jo taqdeer se yeh poochay ...
Kyon bicharte hain aise loug jin ki baatain un ki yaadain ban jaati hain...
Source: unknown i think its by Umera, but not sure.