Tuesday, July 26, 2011

HaMein Chahiye Tha Milna…

Yeh Haseen Shaam Apni,
Abhi Jis men Ghul Rahi Hai,
Tere Pairahan Ki Khushbu
Abhi Jis men Khil rahe Hain
Mere Khwab Ke Shagoofey,
Zara Dair Ka Hai Manzar..
Zara Dair Me Ufaq Pe
Khilega Koi Sitara,
Teri Simt Dekh Kar Wo
Karega Koi Ishara..
Tere Dil ko Aayega Phir
Kisi Yaad Ka Bulawa,
Koi Qissa-e-judai,
Koi Kaar-E-Naa-mukammal..
Koi Khwaab-e-naashagufta,
Koi Baat Kehne Wali..
Hamein Chahiye Tha Milna
Kisi ehd-e-meherbaan Mein..
Kisi Khwab Ke Yaqeen Mein,
Kisi Aur Aasman Par
Kisi Aur Sarzameen Mein,
HaMein Chahiye Tha Milna…
- Parveen Shakir

English Translation:
We ought to have met
A melting twilight,
the world in its entirety dissolves.
The scent of you,
the blossoming
populations of dreams.
All dissolves.. … a vision deferred.

In a while,
a star shall emerge on the horizon,
to gaze at you,
replete with meaning,
[And] your heart shall then reminisce,
there shall be an echo of a memory,
the tale of a separation,
of an unfinished moment,
of dreams unborn,
thoughts unsaid.

We ought to have met,
in another time,
in pursuit of attainable dreams,
below a different sky,
upon a different earth,
We ought to have met then, there.