Tuesday, April 12, 2011

Khawabon ka bharam toot gaya . . .

Apney bister pe buhut dair se mein neem daraz

Sochti thi ke woh iss waqt kahan par ho gaa?

Mein yahan hoon magar uss koocha-e-rang-o-boo mein…….
Roz ki tarha say woh aaj bhi aya ho gaa

Aur jab uss ne wahan mujh ko naa paya ho gaa...........
Aap ko ilm hay,woh aaj nahin aai hain?
Meri har dost se uss ne yahi poocha hogaa
Kiyoon nahin aai woh? Kiya baat hui hay aakhir?

Khud iss baat par so baar woh uljha ho gaa
Kal woh aaiey gee tu mein uss se nahin boloon gaa
Aap he aap kai baar wo rootha ho gaa
Woh nahin hay tu bulandi ka safar kitna kaathan

Seerhiyaan charhtey huey uss ne socha ho gaa
Rahdaari mein, harey lawn mein,phoolon ke qareeb

Uss ne har simt mujhey aan ke dhoondha ho gaa
Naam bhooley se jo mera kahin aya ho gaa
Ghair mehsoos tareeqey se woh chonka ho gaa
Aik jumley ko kayi baar sunaya ho gaa

Baat kartey huey so baar woh bhoola ho gaa
Yeh jo larki nayi (new) aai hai…kahin woh to nahin?
Uss ne har chehra yahi soch ke dekha ho gaa
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat merey baghair
Haaye kiss darja wohi bazm mein tanha ho gaa

Kabhi sannaton se wehshat jo hui ho gee ussey
Uss ne besakhta phir mujh ko pukaara ho gaa
Chaltey chaltey koi maanoos si aahat paa kar
Doston ko bhi kissi uzr se roka ho gaa

Yaad kar ke mujhey num ho gai hon gee palkein
Aankh mein par gaya kuch keh ke yeh tala ho gaa
Aur ghabra ke kitaabon mein jo lee ho gee panah
Har satr mein mera chehra ubher aya ho gaa

Jab mili ho gee ussey meri halaalat ki khabar
Uss ne aahista se deewar ko thama ho gaa
Ittifaqan mujhey uss shaam meri dost mili
Mein ne poocha ke ,suno,”aaiey they woh? Kaisey thay?”

USS ne aik lamhey ko dekha mujhey aur phir hans dee

Uss hansi mein to wo talkhi thi ke uss se agey


Kiya kaha uss ne..mujhey yaad nahin hai laiken…

Itna maaloom hay...

"khawabon ka bharam toot gaya"

(Parveen Shakir)